ﻗُﻞ ﻟَّﺂ ﺃَﺳْـَٔﻠُﻜُﻢْ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﺃَﺟْﺮًﺍ ﺇِﻟَّﺎ ﺍﻟْﻤَﻮَﺩَّﺓَ ﻓﻲِ ﺍﻟْﻘُﺮْﺑَﻲٰ

image


Bedam Yahi To Paanch Hain Maqsood e Qayenaat
khayr un Nisa Husain o Hasan Mustafa Ali

— Bedam Warsi


Jinki Madah o Sataish Aur Tareef o Taoseef Quran Bayaan Kare Insaan Unki Tareef Ka Kya Haq Ada Kar Sakta Hai. Gulistaan e Risalat Ki Baharon Aur Chamnistaan e Nabuwwat Ke Phulon Ke Huzoor Mein Konse Aqeedat Ke Phool Pesh Karne Ke Qabil Hosakte Hain.

Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Quran e Paak Me Apne Mehboob e Kareem Alayhissalaato wa Tasleem Ko Irshad Farmaya: Mehboob ﷺ Ailaan Farma Dijiye Ke Hum Ne Tumhe Gumrahi Aur Zalalat Se Nikal Kar Hidayat Ka Rasta Dikhaya Hai Aur Hum Tujh Se Apna Haq e Tableeg Ye Maangte Hain Ke Hamari Ahl e Bait e Athaar Se Muhabbat Karo Muwaddat Karo.

قُل لَّآ أَسْـَٔلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فيِ الْقُرْبَيٰ شوریٰ: آیت ۲۳

Sahaba e Keraam Ridwan Allaho Alayhim Ajma’een Ne Allah Ta’ala Ka Ye Hukm Suna Toh Darbaar e Mustafa ﷺ Me Arz Kiya, Ya Rasool Allah Sallallaho Alayhi wa Sallam Hamein Farma Diya Jaye Ke Aap Ke Woh Koun Qareebi Hain Jin Ki Muhabbat o Muwaddat Hum Per Wajib Kardi Gayi Hai. Imam ul Ambiya Sallallaho Alayhi wa Sallam Ne Irshaad Farmaya: Ali, Fatimah, Hasan o Husain Aur Unke Bete. [Tafseer Ibne Arabi]

Dusri Riwayat Me Hai Ke Sahaba e Keraam Ridwan Allaho Alayhim Ajma’een Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah Sallallaho Alayhi wa Aalihi wa Sallam Woh Aap ke Koun Kareebi Hain Jinke Haq Me Aayat Nazil Huyi Hai Toh Imam ul Ambiya Ne Farmaya: Ali, Fatimah Aur Unke Bete. [Jalaalain Misri]

Isi ko Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazil e Barewli Radi Allaho Anho Bade Hi Pyare Andaz Me Irshaad Farmate Hain Ke,

Kya Baat Raza Us Chamnistaan e Karam Ki,
Zahra Hai Kali Jis Me Husain Aur Hasan Phool.

[Hadaeq e Bakhshish]