Archive | May 2013

Na Ho Aaram Jis Bimaar Ko Saare Zamane Se [Lyrics]

image

Na Ho Araam Jis Bimaar Ko Saare Zamane Se
Utha Le Jaaye Thodi Khaakh Unke Aastaane Se

Tumhare Dar Ke Tukdon se pada palta hai Ek Aalam
Guzaara sab ka Hota hai Isi Mohtaj Khaane Se

Shab e Asra Ke Dulha per Nichawar Hone Wali Thi
Nahi Toh Kya Garaz Thi Itni Jaano Ke Banane Se

Koi Firdaos Ho Ya khuld Ho Hum Ko Garaz Matlab
Lagaya Ab Toh Bistar Aap Hi Ke Aastane Se

Na Kyon Unki Taraf Allah Sao Sao Pyaar se Dekhe
Jo Apni Aankhein Malte Hain Tumhare Aastane se

Tumhare Toh Woh Ehsaan Aur Yeh Nafarmaniyaan Apni
Hamein Toh Sharm Si Aati Hai Tumko Munh Dikhane se

Bahaar e Khuld sadqe Horahi Hai Roo-e-Aashiq Per
Khili Jaati hain Kaliyaan Dil ki Tere Muskurane se

Zameen Thodi Si dede Behr-e-Madfan Apne Kuuche Me
Lagade Mere Pyaare Meri Mitti Bhi Thikane Se

Palat Ta Hai Jo Za`ir Usse Kehta Hai Naseeb uska
Are Ghafil Qaza Behtar Hai Yaan Se Phir Ke Jaane Se

Bulalo Apne Dar per Ab toh Hum Khana Badoshon ko
Phirein Kab Taq zaleel o khwaar Dar Dar Be Thikane se

Na Pahonche Unke Qadmon taq Na Kuch Husn e Amal Hi Hai
Hasan Kya Puchte Ho Hum Gaye Guzre Zamaane Se………..

Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza [Lyrics]

image

Ae ! Dil Bata Kaisa Laga mera Raza Mera Raza
Toh dil ne kaha acha laga mera Raza mera Raza

najdi wahabi bhediye sab dum daba kar chaldiye
maidan me jab aagaya Mera Raza mera Raza

nanaotwi aur thanvi sab jaanib e dozakh chale
aur jaanib e jannat chala Mera Raza mera Raza

Youn toh kayi Hazrat huye paida zamin e Hind me
sab se alag sab se judaa Mera Raza mera Raza

Mere Rasool e Paak ke Youn Toh kayi hain Mojze
Unme se hai ek Mojza Mera Raza mera Raza

The ek Taraf adaa e deen aur ek taraf the haseedeen
sabse magar ladhta raha Mera Raza Mera Raza…

Nara e Haydari Ya Ali Ya Ali [Lyrics]

image

Jiske Haaton Me Hai Zulfikar e Nabi
Jiske Pehlu Me Hai Shahwar e Nabi
Dukhtar e Mustafa Jiski Dulhan Bani
Jiske Beton Se Nasl e Nabi hai Chali
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali

Jiske Baare Me Farmaye Pyaare Nabi
Jiska Mawla hoon Main Uska Mawla Ali
Jiski Talwaar Ki Jag Me Shohrat Huii
Jiske Kunbe Se Rasm e Shujaat chalii
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali

Jo Nabi ka Hua Woh Ali Ka Hua
Jo Ali Ka Hua Woh Nabi ka Hua
Ya Ali Kehdiya Saara Gham Tall Gaya
Woh Hai Khaybar Shikan Aur Sher e Khuda
Naam se Jinke Har Ranj o Khulfat tali
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali

Jisko Shah e Wilayat ka Rutbah mila
Jiteji Jisko Jannat Ka Muzda Mila
Sayyed e Do Jahan Jisko Rutbah mila
Silsile Saare Jisper Huye Muntahi
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali

Sayyedon Ke Wahi Jadde Aala bhi Hain
Mere Nana Bhi hain Mere Dada Bhi Hain
Mere Aaqa Bhi hain Mere Mawla bhi Hain
Nazmi Wohi Safi o Naji o Razi
Han Wahi Han Wahi Woh Ali Woh Wali
Naara e Haydari Ya Ali Ya Ali

Ya Shaheed e Karbala [Lyrics]

image

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Aap Ka hai lab pe naam
Aap ke hain sab Imam
Aae Husayn Ibne Ali
Hum Tumhare sab ghulaam

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Sar Kataya Aapne
Ghar Lutaya Aapne
Karbala Ki Godh Me
Khoon Bahaya Aapne

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Likha Tha Taqdeer Ka
Zakhm Khaya Teer Ka
Lasha aake dekheyn
Ye Asghar Aur Shabbir ka

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Akbar Aur Qasim Ne Bhi
Rann Me Jaker Jaan di
Girr pade Ghode Se Toh
Seene me Barchi lagi

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Hukm Tha sajdah Karo
Maot se Tum na daro
Fatimah Ke laal ho
Har zakhm Dil Pe Saho

Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala
Ya Shaheed e Karbala Ya Shaheed e Karbala

Barhay Jo Karke Woh Su-e-Shah-e-Anaam [Lyrics]

image

Barhay jo kar ke wo sue Shahe Anaam…, Salaam
Sadaa yeh aati thi har samt se…, Salaam

Bada hujoom tha Taibah ki pehli manzil per…,
Khade the Raah me karne ko khaas o aam…, Salaam

Chale Husain Jo Taibah se Karbala ki taraf….,
Jahan pahunchte the karta tha woh maqaam…, Salaam

Zameen e manzil e maqsood ne qadam choome
Falaq ne Door se jhuk kar kaha Imam…, Salaam

Tamam raat unhein bhejti rahi Hoorein…,
Kisi Ke Naam Durood aur kisi Ke naam…, Salaam

Shah woh jise sab Shah Shah kehte hain,
Imam woh jise karta hai har Imam…, Salaam

Unhein salaam Munawwar ye chahta hai jee,
Tamam umr likhon aur na ho tamam…, Salaam