Archive | February 2013

Lam Yati Naziru Kafi Nazarin [Lyrics]

image

Lam yati naziru kafi nazarin, Misl e toh na shud paida jaana
Jag raaj ko taaj torey sar so hai, Tujh ko shah e do saraa jaana

Al Bahru alaa wal mauj o tagaa, Mann bekas o toofan hosh rubaa
Manjdhaar me hoon bigdi hai hawa, Mori naiyya paar laga jaana

Ya shamsu nazarti ilaa laili choon ba Taibah rasii arz e ba kuni
Tori joot ki jhaljhal jag me rachi, Meri shab ne na din hona jaana

Laka badrun fil-wajhil ajmal, Khat haale maah zulf abre ajal
Tore Chandan chandar per kondal, rehmat ki bharan barsa jaana

Ana fi atashiw wa sakha ka atam, ae gesu e paak ae abre karam
Barsan haare rim jhim rim jhim, do bond idhar bhi giraa jaana

Ya Kafilati zidi ajalak, rehme bar hasrat e tishna labak
Mora jiyeraa larje darak darak Taibah se abhi na suna jaana

Al qalb o Shajinw wal hammu shujoon, Dil zaar chanaan jaan zer chunoon
Pat apni peet mein ka se kahoon, Mera koun hai tere siwa jaana

Al ruhu fidaka fazid harqa, ik sho`la digar barzan ashqaa
Mora tann mann dhann sab phoonk diya, yeh jaan bhi pyaare jala jaana

Bas khama e khaam e nawa e RAZA, Na Ye tarz meri na ye rang mera
Irshad ahhibaa Natiq tha na chaar is raah padha jaana…

Pul se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho [Lyrics]

image

Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho
Jibrael Par Bichayen Toh Par Ko Khabar Na Ho

Kaanta Mere Jigar Se Gham e Rozgaar Ka
Youn Kheench Lijiye Ke Jigar Ko Khabar Na Ho

Faryaad Ummati Jo Kare Haal e Zaar Me
Mumkin Nahi Ke Khayr e Bashar Ko Khabar Na Ho

Kehti Thi Ye Buraq Se Uski Sabaq Rawi
Youn Jaiyye Ke Gard e Safar Ko Khabar Na Ho

Farmate Hain Ye Dono Hain Sardar e Do Jahaan
Ae Murtaza! Ateeq o Umar Ko Khabar Na Ho

Aisa Gumade Unki Wila Me Khuda Hamein
Dhoonda Karein Par Apni Khabar Ko Khabar Na Ho

Aadil! Haram Ko Rokne Walon Se Chup Ke Aaj
Youn Uth Chalein Ke Pehl o Bar Ko Khabar Na Ho

Ae Khaar e Taiba! Dekh Ke Daman Na Bheeg Jaye
Youn Dil Me Aa Ke Dida e Tar Ko Khabar Na Ho

Ae Shaok e Dil! Yeh Sajdah Gar Unko Rawa Nahi
Acha! Woh Sajda Kijiye Ke Sar Ko Khabar Na Ho

Unke Siwa Raza Koi Hami Nahi Jahaan
Guzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabar Na Ho

Woh Sue Lalazar Phirte Hain [Lyrics]

image

Woh Sue Laalah Zaar Phirte Hain
Tere Din Ae Bahar Phirte Hain

Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain
Dar Badar Youn Hi Khwar Phirte Hain

Aah Kal Aaesh Toh Kiye Humne
Aaj Woh Beqarar Phirte Hain

Har Charagh e Mazar Par Qudsi
Kaise Parwanawaar Phirte Hain

Us Gali Ka Gada Hoon Main Jisme
Maangte Tajdar Phirte Hain

Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye
Kyon A’du Gird e Gaar Phirte Hain

Phool Kya Dekhun Meri Ankhon Me
Dasht e Taiba Ke Khaar Phirte Hain

Lakhon Qudsi Hain Kaar e Khidmat Par
Lakhon Gird e Mazar Phirte Hain

Haaye Ghafil Woh Kya Jagah Hai Jahan
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain

Koi Kyon Puche Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain

Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai [Lyrics]

image

Woh Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahan Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ke Dhuwaan Nahi

Do Jahan Ki Behtariyaan Nahi Ke Amaani e Dil o Jaan Nahi
Kaho Kya Hai Jo Yahan Nahi Magar Ek ‘Nahi’ Ke Woh Han Nahi

Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Youn Toh Kis Ko Zuban Nahi
Woh Sukhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Woh Bayaan Hai Jiska Bayaan Nahi

BaKhuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahi Toh Wahan Nahi

Kare Mustafa ﷺ Ki Ahanatein Khule Bando Uspe Ye Jur’atein
Ke Main Kya Nahi Hoon Muhammadi! Are Han Nahi Are Han Nahi

Tere Aage Youn Hain Dabe Lache Fusaha Arab Ke  Bade Bade
Koi Jaane Munh Me Zubaan Nahi, Nahi Balke Jism Me Jaan Nahi

Woh Sharaf Ke Qat’aa Hain Nisbatein Woh Karam Ke Sab Se Kareeb Hain
Koi Kehd o Yaas o Ummeed Se Woh Kahin Nahi Woh Kahaan Nahi

Ye Nahi Ke Khuld Na Ho Niko Woh Nikoyi Ki Bhi Hai Aabru
Magar Ae Madine Ki Aarzu Jise Chahe Tu Woh Samaan Nahi

Hai Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hai Unhi Ke Jalwe Me Sab Nihaan
Bane Subha Tabish  Mehr Se Rahe Pesh  Mehr Yeh Jaan Nahi

Wahi Noor e Haq Wahi Zille Rab Hai Unhi Se Sab Hai Unhi Ka Sab
Nahi Unke Milk Me Asman Ke Zameen Nahi Ke Zamaan Nahi

Wahi LaMakaan Ke Makeen Huye Sar e Arsh Takht Nasheen Huye
Woh Nabi Hai Jiske Hain Yeh Makaan Woh Khuda Hai Jiska Makaan Nahi

Sar e Arsh Par Hai Teri Guzar Dil e Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot o Mulk Me Koi Shay Nahi Woh Jo Tujh Pe Ayaan Nahi

Karoon Tere Naam Pe Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jahan Fida
Do Jahan Se Bhi Nahi Ji Bhara Karoon Kya Karodon Jahan Nahi

Tera Qad Toh Nadir e Deher Hai Koi Misl Ho Toh Misaal De
Nahi Gul Ke Paodon Me Daliyaan Ke Chaman Me Sar o Chamaan Nahi

Nahi Jiske Rang Ka Dusra Na Toh Ho Koi Na Kabhi Hua
Kaho Isko Gul Kahe Kya Koi Ke Gulon Ka Dher Kahaan Nahi

Karoon Mad’aa Ahl e Duwal Raza Pade Is Bala Me Meri Bala
Main Gada Hoon Apne Kareem Ka Mera Deen Parah e Naan Nahi

Sabse Awla o Aala Hamara Nabi ﷺ [Lyrics]

image

Sabse Awla o Aala Hamara Nabi ﷺ
Sabse Baala o Waala Hamara Nabi ﷺ

Apne Mawla Ka Pyara Hamara Nabi ﷺ
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi ﷺ

Bazm e Aakhir Ka Sham’a Firozaan Hua
Noor e Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi ﷺ

Jisko Shayaan Hai Arsh e Khuda Par Juloos
Hai Woh Sultaan e Waala Hamara Nabi ﷺ

Bujh Gayein Jiske Aage Sabhi Mish’alein
Sham’a Woh Lekar Aaya Hamara Nabi ﷺ

Jiske Talwon Ka Dhuwan Hai Aab e Hayat
Hai Woh Jaan e Masiha Hamara Nabi ﷺ

Arsh o Kursi Thin Aayina Bandiyan
So-e-Haq Jab Sidhara Hamara Nabi ﷺ

Khalq Se Awlia Awlia Se Rasul
Aur Rasulon Se Aala Hamara Nabi ﷺ

Husn Khata Hai Jiske Namak Ki Qasam
Woh Malih e Dil Aara Hamara Nabi ﷺ

Zikr Sab Phike Jab Taq Na Mazkoor Ho
Namkin e Husn Wala Hamara Nabi ﷺ

Jiski Do Boond Hain Kawsar o Salsabeel
Hai Woh Rahmat Ka Dariya Hamara Nabi ﷺ

Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi ﷺ

Qarnoo’n Badli Rasulon Ki Hoti Rahi
Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi ﷺ

Koun Deta Hai Dene Ko Munh Chahiye
Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi ﷺ

Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Dube Na Duba Hamara Nabi ﷺ

Mulk e Kawnain Me Ambiya Tajdar
Tajdaron Ka Aaqa Hamara Nabi ﷺ

LaMakaan Taq Ujala Hai Jiska Woh Hai
Har Makaan Ka Ujala Hamara Nabi ﷺ

Saare Achon  Me Acha Samajhiye Jise
Hai Us Ache Se Acha Hamara Nabi ﷺ

Saare Unchon Me Uncha Samajhiye Jise
Hai Us Unche Se Uncha Hamara Nabi ﷺ

Ambiya Se Karoon Arz Kyon Maliko!
Kya Nabi Hai Tumhara Hamara Nabi ﷺ

Jisne Tukde Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai
Noor e Wahdat Ka Tukda Hamara Nabi ﷺ

Sab Chamak Wale Ujlon Me Chamka Kiye
Andhe Shishon Me Chamka Hamara Nabi ﷺ

Jisne Murda Dilon Ko Di Umr e Abad
Hai Woh Jaan e Masiha Hamara Nabi ﷺ

Gamzadon Ko Raza Muzda Dijiye Ke Hai
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi ﷺ

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai [Lyrics]

image

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Woh Imam Ishq o Muhabbat Hai Bareilly ka Raza
Woh Imam Ishq o Muhabbat Hai Bareilly ka Raza

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Waze Sabhi pe Ayaat e Quran Kar Gaya
Mehfooz Sunniion Ka Jo Imaan Kar Gaya
Ehsaan ka na jiske koi bhi hisaab hai….

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Utha Qalam Toh Ilm Ke Dariya Baha Diye
Ghar Ghar Nabi Ke Zikr Ke Jalse saja Diye
Ke Sartapa Ilm Deen ka jo Aftaab hai….

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Jiski Hayat Ishq e Nabi Ki Kitaab Hai
Jiska Wajood Toh Waqf e Risalat Ma`aab Hai
Jisme Nabi Ki Khooshbu Hai Aesa Gulaab hai….

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Gustakh e Rasool Ka Nasha Utar dein
Hum Chahein Toh Isi se wahabi ko Maar dein
Ke Ahmad Raza Ke Naam Me Woh Aab o taab Hai….

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Ahmad Raza Ne Kanz ul Imaan Hai Diyaa
Humko Rasool e Paak Faizaan Hai Diyaa
Jo Maslak e Raza pe Chale Kamiyaab Hai….

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Akhtar Raza Ka Daaman e Shafqat Na Chodiye
Kuch bhi ho Dast e Taaj e Shariyat na Chodiye
Wallah Fakhr e Azhari Izzat Ma`aab hai…..

Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai
Woh Raza Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai