Archive | January 2014

Ya Imam Ali Raza Radi Allaho Anho

image

Imam Ali Raza Radi Allaho Anho's Shrine in Mashad Iraq

Aayat e Tatheer

Aayat e Tatheer Bila Shubah Ummahat ul Mo’mineen Radi Allaho Ta’ala Anhunna Ki Shaan Me Nazil Huyi Magar Sahib e Quran Rasool e Hashmi Ke La-Mehdood Ikhteyarat Ki Was’at Toh Dekhiye. Aap Ki Hazrat Ali o Fatimah Hasan Aur Husain Se Walehana Muhabbat o Shafqat Ka Andazah Toh Kijiye. Aayat Nazil Hoti Hai,

image

(الاحزاب ۳۳)

“Aae Nabi Ke Ghar Walon! Allah Toh Yahi Chahta Hai Ke Tum Se Har Aaloodgi Ko Door Kar Ke Tumhein Khoob Pakizah Karde”.

Nuzool e Aayat Hua Toh Imam ul Ambiya Ne Aawaaz Di Ali Aajao, Beti Fatimah Tum Bhi Aao Aur Hasan o Husain Ko Bhi Saath Leti Aao. [Tirmidhi Shareef]

Charon Nufoos e Qudsiyah Haazir Hogaye. Imam ul Ambiya Ne Ek Taraf Hazrat Ali Ko Bithaya Dusri Taraf Janaab e Fatimah Ko Bithaya Janaab e Hasan o Husain Ko God Me Liya Aur Shaan e Muzammil Ki Haamil Kamli Muqaddas Me Sab Ko Chupa Liya Aur Rab e Aalam Ki Baargah Me Dua Ki, Ya Allah Ye Mere Ahl e Bait Hain Tu Inse Har Aaloodgi Ko Door Farma Kar Khoob Pakizah Farma De. [Tirmidhi Shareef]

Aayat e Tatheer Hazrat Umme Salmah Radi Allaho Ta’ala Anha Ke Ghar Me Nazil Huyi Thi Aur Wahin Par Hi Ye Bazm e Noor Sajayi Gayi Thi. Ummul Mo’mineen Umme Salmah Radi Allaho Ta’ala Anha Ne Ye Kaif Parwar Aur Noor Bez Samaan Dekha Toh Aage Badh Kar Darbar e Risalat Me Arz Kiya, Ya Rasool Allah Sallallaho Alayhi Wa Sallam Main Bhi Is Bazm e Noor Me Shamil Hoon. Toh Imam ul Ambiya Sallallaho Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Taleef e Qalbi Farmate Huye Farmaya, Umme Salmah Tum Khayr Per Ho Aur Apne Muqam Per Ho. [Tirmidhi Shareef, Al Mustadrik, Khasa’es e Kubra, Nuzhat ul Majalis, Ibn e Kaseer, Madarij un Nabuwwat]

Aayat e Muqaddasah Me Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Sab Ghar Walon Ke Liye Aam Hukm Farma Diya Hai Is Liye Isme Kisi Ko Bhi Kharij Nahi Kiya Jasakta. Dua Ke Liye Imam ul Ambiya Sallallaho Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sirf Chaar Hastiyon Ko Intekhab Farmaya Hai Is Takhsees Ko Toda Nahi Jaasakta Youn Toh Aap Puri Kayenat Ke Liye Rahmat Bankar Aaye Hain. Sahaba e Keram Hon Ya Aap Ki Azwaaj e Mutahharat Aap Ki Nigah e Rahmat Wa Shafqat Ne Har Ek Ko Nawaza Hai. Har Ek Ko Taleef e Qalbi Farmayi Hai Jo Jo Bhi Aap Ke Halqah e Rahmat Me Aagaya Fazilaton Ka Paikar Ban Gaya.

Zarra Tha To Aaftab Ban Kar Chamakne Laga, Qatrah Tha Toh Behr e Bekaraan Ban Gaya, Kanta Tha Toh Phool Ban Gaya, Gulam Tha Toh Aaqa Ban Gaya, Muqtadi Tha Toh Imam Ban Gaya, Shaqi Tha Toh Saeed Hogaya, Faqir Tha Toh Ghani Hogaya, Napak Tha Toh Pak Hogaya, Abu Bakr Tha Toh Siddique e Akbar Hogaya, Umar Tha Toh Farooq e Aazam Hogaya, Usman Tha Toh Zun-Noorayn Hogaya, Habshi Tha Toh Quraishion Ka Sardar Hogaya Aa’raabi Tha Toh Sahabi Hogaya, Rahmat Se Door Tha Toh Qareeb Hogaya, Dushman Tha Toh Habeeb Hogaya Al-garz Muhammad Arabi Sallallaho Alayhi Wa Sallam Ki Jis Jis Par Bhi Nigah Rahmat Uthti Gayi Use Meher Alimtab Banati Gayi Jis Kisi Ke Bhi Fazael Padho Youn Maloom Hota Hai Ke Tamaam Tar Aaezazaat Isi Ko Tafweez Kardiye Gaye Hain.

Magar Kamli Me Aane Wale Charon Nafus e Qudsiyah Tamam Kayenat e Aalam Se Ek Khas Aur Alaiyhda Shaan Ke Malik Hain Jis Qism Ki Muhabbat Imam ul Ambiya Sallallahu Alayhi Wa Sallam Ko In Charon Se Thi Us Me Koi Bhi Inka Shareek Wa Saheem Nahi. Kabhi Aapne Is Baat Per Bhi Gaor Kiya Hai Ke Quran Ne Inse Muhabbat Karne Ka Hukm Kyon Diya Hai Khuda Ne Kyon Hukm Farmaya Hai Ke, “Mehboob! Ahl e Iman Se Mutalba Kijiye Ke, Meri Ahl e Bait Se Muhabbat Kijiye” Isme Raaz Yeh Tha Ke Imam ul Ambiya Sallallahu Alayhi Wa Sallam Ko Inse Walehana Muhabbat Thi.

image

Names of Panjatan Pak

Sardar e Ambiya Allah Ta’ala Ke Mehboob The Allah Ta’ala Ko RasoolAllah ﷺ Se Muhabbat Thi RasoolAllah ﷺ Ko Ali o Fatimah Aur Hasan o Husain Se Muhabbat Thi Huzoor ﷺ Khuda Ke Mehboob The Yeh Charon Huzoor ﷺ Ke Mehboob The Mehboob Ki Mehboob Chiz Se Dohri Muhabbat Hoti Hai Huzoor Ne Arz Kiya, Ya Allah Main Tera Mehboob Hoon Aur Yeh Mere Mehboob Hain Tu Bhi Inse Muhabbat Farma. Khuda Ta’ala Ne Farmaya, Mehboob Main Toh Inse Muhabbat Karta Hi Rahunga Meri Muhabbat Ka Taqaza Yeh Hai Ke Jinse Tu Muhabbat Karta Hai Mere Khas Bande Bhi Unse Muhabbat Karein Isliye ‘Mawaddatah Fil Qurba’ Ka Ailan Farma Kar Wazahat Kardijie Ke Aap Ke Mehboob Qaribi Kaon Log Hain.

Yeh Irshadat e Rasool ﷺ Hain Jin Ki Roshni Me Yeh Zahir Hota Hai Ke Imam ul Ambiya SallAllaho Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko In Charon Se Munfarid Qism Ki Muhabbat Thi. Chand Riwayaat Mulahzah Hon:

Hazrat Abu Hurayrah Radi Allaho Anho Farmate Hain Ke Rasool Allah Sallallaho Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali o Fatimah Aur Hasan o Husayn Ki Taraf Dekh Kar Farmaya, Hamari Usse Ladayi Hai Jo Inse Ladega Aur Usse Sulah Hai Jo Inse Sulah Rakhega. [Al Bidayah Wan Nihayah]

Aap Se Pucha Gaya Ke Ya Rasool Allah ﷺ Aap Ko Ahl e Bait Me Kis Ke Sath Ziyada Muhabbat Hai, Aap Ne Farmaya Hasan Aur Husain Se. [Al Isteyab]

Phir Farmaya Jo Inse Muhabbat Rakhega Hum Usse Muhabbat Rakhenge Jo Inse Bogz Rakhega Hum Usse Adawat Rakhenge. [Mishkat, Tirmidhi]


“Unki Paaki Ka Khuda e Pak Karta Hai Bayaan,
Aayah e Tatheer Se Zahir Hai Shaan e Ahl e Bait”

Aayat e Muwaddat

image


Bedam Yahi To Paanch Hain Maqsood e Qayenaat
khayr un Nisa Husain o Hasan Mustafa Ali

— Bedam Warsi

Jinki Madah o Sataish Aur Tareef o Taoseef Quran Bayaan Kare Insaan Unki Tareef Ka Kya Haq Ada Kar Sakta Hai. Gulistaan e Risalat Ki Baharon Aur Chamnistaan e Nabuwwat Ke Phulon Ke Huzoor Mein Konse Aqeedat Ke Phool Pesh Karne Ke Qabil Hosakte Hain.

Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Quran e Paak Me Apne Mehboob e Kareem Alayhissalaato wa Tasleem Ko Irshad Farmaya: Mehboob ﷺ Ailaan Farma Dijiye Ke Hum Ne Tumhe Gumrahi Aur Zalalat Se Nikal Kar Hidayat Ka Rasta Dikhaya Hai Aur Hum Tujh Se Apna Haq e Tableeg Ye Maangte Hain Ke Hamari Ahl e Bait e Athaar Se Muhabbat Karo Muwaddat Karo.

قُل لَّآ أَسْـَٔلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فيِ الْقُرْبَيٰ شوریٰ: آیت ۲۳

Sahaba e Keraam Ridwan Allaho Alayhim Ajma’een Ne Allah Ta’ala Ka Ye Hukm Suna Toh Darbaar e Mustafa ﷺ Me Arz Kiya, Ya Rasool Allah Sallallaho Alayhi wa Sallam Hamein Farma Diya Jaye Ke Aap Ke Woh Koun Qareebi Hain Jin Ki Muhabbat o Muwaddat Hum Per Wajib Kardi Gayi Hai. Imam ul Ambiya Sallallaho Alayhi wa Sallam Ne Irshaad Farmaya: Ali, Fatimah, Hasan o Husain Aur Unke Bete. [Tafseer Ibne Arabi]

Dusri Riwayat Me Hai Ke Sahaba e Keraam Ridwan Allaho Alayhim Ajma’een Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah Sallallaho Alayhi wa Aalihi wa Sallam Woh Aap ke Koun Kareebi Hain Jinke Haq Me Aayat Nazil Huyi Hai Toh Imam ul Ambiya Ne Farmaya: Ali, Fatimah Aur Unke Bete. [Jalaalain Misri]

Isi ko Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazil e Barewli Radi Allaho Anho Bade Hi Pyare Andaz Me Irshaad Farmate Hain Ke,

Kya Baat Raza Us Chamnistaan e Karam Ki,
Zahra Hai Kali Jis Me Husain Aur Hasan Phool.

[Hadaeq e Bakhshish]