Archive | April 2013

Woh Shimr e Shaqi Zalim Kya Zulm Kiya Tune [Lyrics]

image

Woh shimr e shaqi zaalim kya zulm kiya tune
Pyaasa hi gala kata Paani na diya Tune..,

Woh Kiske Nawase Hain, Bhuke Hain Ya Pyaase Hain
Itna Bhi Nahi Socha, Mardood Zara Tune….,

Laash Aayi jab Asghar Ki Maa kehne lagi Ro Ker
Pyaasa hi Chala Pyare Paani na Piya Tune..,

Mar Kar bhi Kabhi zalim Tu aaram na Paayega
Baagh e Gul e Ahmad ko Pamaal Kiya Tune…,

Jaata Shah e Shohda ke Roze Ki Ziyarat ko
Afsos Tujhe AKHTAR yeh bhi na kiya Tune…..

Bagh e Jannat Ke Hain Behr e Madha Khwan e Ahl e Bait [Lyrics]

image

Bagh e Jannat Ke Hain Behr e Madha Khwan e Ahl e Bait
Tum Ko Muzda Naar Ka Aae dushmanan e Ahl e Bait

Kis Zubaan Se Ho Bayaan Izz o Shaan e Ahl e Bait
Madha Go e Mustafa Hai Madha Khwan e Ahl e Bait

Unki paaki ka Khuda e Paak Karta hai Bayaan
Ayaah e Tatheer se zahir Hai shaan e Ahl e Bait

Mustafa Izzat Badhane Ke Liye tazeem dein
Hai Buland Iqbal Tera Doodmaan e Ahl e Bait

Unke Ghar Be Ijazat Jibrael Aate Nahi
Qadr Wale Jaante Hain Qadr o Shaan e Ahl e Bait

Ramz Ka maidaan bana hai jalwah gaah e husn o ishq
Karbala Me Ho Raha Hai Imtihan e Ahl e Bait

Phool Zakhmon Ke Khilaye Hain Hawa e Dost Ne
Khoon se seencha gaya hai Gulsitaan e Ahl e Bait

Hoorein Karti hai Aroosaan e Shahadat ka singhaar
Khuburu Dulha Bana Hai Har Jawaan e Ahl e Bait

Ho Gai Tehqeeq Eid e Deed Aab e Taigh Se
Apne Roze Kholte hain Saa`imaan e Ahl e Bait

Jummah ka Din hai Kitabein zeest ki Tay kar ke Aaj
Kheltein hain Jaan Per Shahezaadgaan e Ahl e Bait

Aae Shabaab e Fasl e Gul Yeh Chal Gayi Kaisi Hawa
Katt Rahaa hai Lehlahaata Boostan e Ahl e Bait

Kis Shaqi Ki hai Huqoomat Haaye Kya Andher Hai
Din Dahaade Lutt Raha hai Karwaan e Ahl e Bait

Khushq Ho Ja Khaakh Ho Kar Khaakh Me Mil Ja Furaat
Khaakh Tujh Per Dekh Toh sukhi zabaan e Ahl e Bait

Khaakh Per Abbas o Usmaan e Alambardaar Hain
Be Kasi Ab Koun Uthaye Ga Nishaan e Ahl e Bait

Teri Qudrat Janwaron Taq Aab Se Sairaab Hon
Pyaas Ki Shiddat Me Tadpe Be Zabaan e Ahl e Bait

Qafilah Salaar Manzil Ko Chale Hain Soonp Kar
Waaris e Be Warisaan Ko Kaarwaan e Ahl e Bait

Fatimah Ke Laadle Ka Aakhri Deedar Hai
Hashr Ka Hangama Barpa hai Mayaan e Ahl e Bait

Waqt e Rukhsat keh Raha hai Khakh Me Milta Suhaag
Lo Salaam e Aakhri Aae Bewgaan e Ahl e Bait

Abr e Faoj Dushmanaan Me Aae Falaq youn doob Jaaye
Fatimah ka Chand Mehr e Aasman e Ahl e Bait

Kis Maze Ki Lazzatein Hain aab e taigh e Yaar me
Khaakh o Khoon Me Laot te Hain Tishnagaan e Ahl e Bait

Baagh e Jannat chodh kar aaye Hain Mehboob e Khuda
Aae Zahe qismat Tumhari Kushtgaan e Ahl e Bait

Hoorein be Pardah Nikal aayi Hain sar khole Hue
Aaj Kaisa Hashr Hai Barpa Mayaan e Ahl e Bait

Koi Kyon Puche Kisi Ko Kya garaz Aae Bekasi
Aaj Kaisa Hai Mareez e Neem Jaan e Ahl e Bait

Ghar Lutana Jaan Dena Koi Tujh se Seekh jaaye
Jaan e Aalam Ho Fida Aae Khandaan e Ahl e Bait

Sar Shaheedan e Muhabbat Ke Hain Nezon Per Buland
Aur Uoonchi Ki Khuda Ne Qadr o Shaan e Ahl e Bait

Daolat e deedar Paayi Paak Jaanein bech kar
Karbala me Khoob hi Chamki Dukaan e Ahl e Bait

Zakhm Khane Ko Toh aab e Taigh Pine Ko Diya
Khoob Dawat ki Bula Kar dushmanan e Ahl e Bait

Apna Saoda Bech Kar Bazaar suna Kar gaye
Kaonsi Basti basayi Tajiraan e Ahl e Bait

Ahl e Bait e Paak Se Gustakhiyaan Be Bakiyaan
La`natullahi Alaykum dushmanan e Ahl e Bait

{sallallahu alayhi wa Sallam}
{radi allahu anhuma}

Shujaat Naaz Karti Hai [Lyrics]

image

Shujaat Naaz Karti hai, Jalalat Naaz Karti hai
Woh Sultan e Zamaan hai, Unpe Shaokat Naaz Karti hai

Sadaqat Naaz Karti hai, Amanat Naaz Karti hai
Humiyyat Naaz Karti hai, Murawwat Naaz Karti hai

Shah e Khubaan pe Har Khubi o Khaslat Naaz Karti hai
Kareem Aese Hain Woh Un Per Karamat Naaz Karti hai

Jahaan e Husn me Bhi Kuch Nirali shaan Hai Unki
Nabi ke Gul Pe Gulzaron Ki Zeenat Naaz Karti hai

Shahenshah e Shaheedan Ho Anokhi Shaan Waale ho
HUSAIN IBNE ALI Tum per shahadat Naaz Karti Hai

Bitha kar Shana e Aqdas Pe Kardi Shaan Do Baala
NABI ke Ladlon Per har Fazilat Naaz Karti Hai

Jabeen e Naaz Unki Jalwah Gaah e Husn Hai kiski
Rukh e Zaiba Pe Hazrat ki Malahat Naaz Karti Hai

Nigah e Naaz se Naqsha Badal Dete Hain Aalam Ka
Adaa e Sarwar e Khubaan pe Nudrat Naaz Karti Hai

Fidaii Hoon Toh Kis ka Hoon Koi Dekhe Meri Kismat
Qadam per Jis Haseen Ki Jaan e Tal`at Naaz Karti Hai

Khuda ke Fazl se AKHTAR Main Unka Naam Lewa Hoon
Main Hoon Kismat Pe Nazaan Mujh Pe Kismat Naaz Karti Hai

Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa Sahbihi Wa Barak Wa Sallam

Jaan e Batool o Haydar Lakhon Salaam Tum Per [Lyrics]

image

Jaan e Batool o Haydar Lakhoon Salaam Tum Per
Ae ! Waris e Payambar Lakhoon Salaam Tum Per

Abbas Do Jahan Me Tera Nahi Hai Saani,
Dariya Ko Jeet Kar Bhi Tune Piya Na Paani,
Ae ! Karbala Ke Haydar Lakhoon Salaam Tum Per…

Do Din Ki Thishnagi Me Neza Jigar Pe Khaya,
Islam Ki zameen ko apna lahoo pilaya,
Hum soorat e Payamber Lakhoon salaam tum per…

Ae ! Jaan nashin e Zahra Tera bhi tha kaleja,
Hathiyar khud saja kar bachon ko rann me bheja,
Sher e Khuda ki Dukhtar Lakhoon salaam tum per…

Bhoola nahi hai ab taq teri ada zamana,
Gardan pe teer kha kar woh tera muskurana,
Ae ! be zubana e Asghar lakhon salaam tum per… 

Jaan e Batool o Haydar Lakhoon Salaam Tum Per
Ae ! Waris e Payambar Lakhoon Salaam Tum Per 

Sallallahu Alayhi wa Sallam
Radi Allahu Anhuma

Kya Jalwa Karbala Me Dikhaya Husayn Ne [Lyrics]

image

Kya Jalwa Karbala Me Dikhaya Husain Ne,
Sajde Me Jaake Sar Ko Kataya Husain Ne.

Neze Pe Sar Tha Aur Zubaan Per Thi Ayaatein,
Quraan Is Tarah Se Sunaya Husain ne.

Akbar Ki Khushq Aankh se Ansu Jhalak Pade,
Sughra Ka Jab Paigham Sunaya Husain Ne.

Aese Laga Ke Dekh Kar Hoorein Bhi Ro Padhien,
Qasim Ki Laash Ko Jab Uthaya Husain Ne.

Nana Ke Paak Naam Per Har Chiz Waar Di,
Kuch Bhi Na Apne Paas Bachaya Husain Ne.

Syed ne Karbala Me Wade Nibha Diye Hain [Lyrics]

image

Sayyed ne Karbala Me Waade Nibha Diye Hain
Deen e Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hain

Bole HUSAIN Mawla Teri Raza Ki Khatir
Ek Ek Kar Ke Maine Gaohar Luta Diye Hain

Deen e NABI pe Waari AKBAR Ne Bhi Jawani
ABBAS Ne Bhi Apne Bazu Kata Diye Hain

ZAINAB Ke Bagh Me Jo Do Phool The Mehekte
Woh Bhi Do SAYYEDAH Ne Raahe Khuda Diye Hain

Munh kar ke Suu-e-Kufa SUGHRA Pukarti Hai
Aaye na Bhai AKBAR Waade bhula Diye Hain

ZAHRA Ke Naaz Paale Phoolon Pe Sone Waale
KARBAL Ki Khaakh Pe Woh Haaye Rulaa Diye Hain

SHABBIR hi ki Aesi Pur Dard Dastaan Hai
Dil patharon ke Wallah jisne Hila diye Hain

Bakhshish Hai us ki laazim SAYYED Ke gham me Hafiz
Do chaar ansu ro ker jisne bahaa diye hain…

صلی اللہ عليه وسلم
رضي الله عنهم

Saba Jo Aayi Hai Karbala Se

image

Saba Jo Aayi Hai Karbala Se Hazaron Sadme Utha Rahi Hai
Husain Ibne Ali Ke Gham Me Lahu Ke Aansu Baha Rahi Hai

Gale Pe Asghar Ke Teer Maara Tadap Ke Zainab Ne Ye Pukara
Mila Na Pani Ka Ek Qatra Sakinah Sab Ko Bata Rahi Hai

Chale Jo Abbas Mashk Leker Khade The Ghere Huye Sitamgar
Kata Jo Bazu Toh Ro Ke Bole Ke Pyaas Humko Sata Rahi Hai

Jo Naosha Qasim Ki Baari Aayi yazidi Lashkar Ne Ki Chadhayi
Yeh Ro Ke Shabbir Ne Sada Di Dulhan Tumhari Bula Rahi Hai

Jawaan Bete Ne Sar Kataya Husayn Ne Sabko Yeh Bataya
Lagi Hai Akbar Pe Barchi Aesi Qaza Bhi Sar Ko Jhuka Rahi Hai

Nikali Talwar Meyaan Se Jab Mare Hazaron, Hazaron Bhage
Yeh Kufi Samjhe Ke Tegh Ali Ki Yahan Pe Jaohar Dikha Rahi Hai

Yeh Hukm Aaya Lutado Ghar Ko Bachalo Ummat Kata lo Sar Ko
Woh Wada Bachpan Ka Pura Kardo Sada Yeh Kaano Me Aarahi Hai

Saba Jo Aayi Hai Karbala Se Hazaron Sadme Utha Rahi Hai
Husain Ibne Ali Ke Gham Me Lahu Ke Ansu Baha Rahi Hai

Aaya Na Hoga Is Tarah Rang o Shabab Rayt Per

image

Aaya Na Hoga Is Tarah Rang o Shabaab Rayt Per
Gulshan e Fatimah Ke The Saare Gulaab Rayt Per

Jaan e Batool Ke Siwa Koi Nahi Khila Saka
Katra e Aab Ke Baghayr Itne Gulaab Rayt Per

Tarse Husain Aab Ko Main Jo Kahoon Toh Be-adab
Lams e Lab e Husain Ko Tarsa Hai Aab Rayt Per

Ishq Me Kya Lutaiye Ishq Me Kya Bachaiye
Aal e Nabi Ne Likh Diya Saara Nisaab Rayt Per

Lazzat e Sozish e Bilal Showk e Shahadat e Husain
Jisne Liya Youn Hi Liya Apna Khitaab Rayt Per

Jitne Suwaal Ishq Ne Aal e Rasool Se Kiye
Ek Se Badh Ke Ek Diya Sabne Jawaab Rayt Per

Aal e Nabi Ka Kaam Tha Aal e Nabi Ne Kar Diya
Koi Na Likh Saka Adeeb Aisi Kitaab Rayt Per

Har Zamana Mere Husain Ka Hai

image

Har Zamana Mere Husain Ka Hai
Har Deewana Mere Husain Ka Hai

Jiski Khatir Yeh Qayenat Bani
Woh Toh Nanaﷺ Mere Husain Ka Hai

Jis Jagah Hur Banaye Jaate Hain
Kaarkhana Mere Husain Ka Hai

Jo Zameen Se Anaaj Ughta Hai
Dana Dana Mere Husain Ka Hai

Mere Ghar Me Charagh Jalte Hain
Aana Jaana Mere Husain Ka Hai

Har Zamana Mere Husain Ka Hai
Har Deewana Mere Husain Ka Hai


5 Shaban ul Muazzam, Youm e Wiladat e Syed ush Shohoda Sibt e Rasoolﷺ Imam Aali Maqam Syedna Husayn Bin Ali Radi Allaho Anhoma.

Maula Ali Ka Pyara Karbal Ko Jaraha Hai

image

Maula Ali Ka Pyara Karbal Ko Jaraha Hai
Noor e Nazar Nabi ﷺ Ka Taiba Se Jaraha Hai

Lelo Salaam e Aakhir Rukhsat Mujhe Do Nana ﷺ
Islam Ko Bachane Shabbir Jaraha Hai

Jakar Baqi Me Bhi Amma Se Youn Pukara
Ye Ladla Tumhara Is Dar Se Jaraha Hai

Ro Kar Pukare Nana ﷺ Chutt-ta Hai Ye Madinah
Shabbir Ko Yahi Gham Aansu Rula Raha Hai

Lete The Jis Gale Per Bo-se Nabi Muhammad ﷺ
Us Hi Gale Pe dushman Khanjar Chala Raha Hai

Matlab Ye Sar Kata Kar Asghar Ka Khoon De Kar
Shabbir Apne Nana ﷺ Ka Deen Bacha Raha Hai

Yusuf Bayaan karein Kya Karbal Ki Dastan Ko
Khulti Nahi Zaban Aur Dil Kaanpa Jaraha Hai

4 Shaban ul Mu’azzam 60 Hijri,
Hijrat e Imam Aali Maqam Radi Allaho Anho
From Madinah Tul Munawwarah To
Makkah Tul Mukarramah